गौस ए आज़म

सरदार ए औलिया हुजोर गौस ए आज़म की शान में नज़राना ए अकीदत

मन्क़बत

Khuda ke Fazl se

Khuda ke fazl se, hum par he saaya Ghaws e Azam ka
Humein do no jahaan me he, sahara Ghaws e Azam ka

Hamari laaj kis ke haath he, Baghdad waale ke
Musibat taal dena kaam, kis ka Ghaws e Azam ka

Rasulallah ka dushman he, Ghaws e Paak ka dushman
Rasulallah ka pyara he, pyara Ghaws e Azam ka

Azizo kar chuko taiyyaar, jab mere janaaze ko
To likh dena kafan par, naam wala Ghaws e Azam ka

Lahad me jab farishte, mujh se puuchenge to kehhdunga
Aseer e Qadri huun, naam lewa Ghaws e Azam ka

Imdaad Kun Imdaad Kun

Imdaad kun, imdaad kun
Imdaad kun, imdaad kun, az har bala aazaad kun
Dar, deen-o-duniya sha’ad kun, ya Ghawsul Azam dastagir

Sadqa Rasul e Paak ka, sadqa Ali ke laal ka
Khairul bashar ka waasta, aao madad ke waaste

Taiba nagar ki jaan ho, Usman, Ali ki shaan ho
Aap ko Ali ka waasta, aao madad ke waaste

Ranjo alam ki shaam ho, lab pe tumhara naam ho
Ganj e Shakar ka waasta, aao madad ke waaste

Khwaja piya hai aap ke, Khwaja Qutub hein aap ke
Aap ko wali ka waasta, aao madad ke waaste

Murde jilaa-e aap ne, dubi tira-e aap ne
Nana Nabi ka waasta, aao madad ke waaste

Dar e Ghaws ka

Dar e Ghaws ka gar tu, saa-il bana he
Qadam ko hata ne ki, koshish na karna

Milegi bemaange, tamanna-en dil ki
Zubaan tak hila ne ki, koshish na karna

Woh denge yaqeenan, tujhe aasra bhi
Milega wahin se, tujhe mudda’aa bhi

Saakhi Ghawse A’zam ka, dar **** kar tu
Kahin aur jaane ki, koshish na karna

Jo Baghdad le jaaye, tujh ko nasiba
Laga dena dera, wahin par ghariba

Wahaan mar ke bhi unke, qadmon se kehna
Yahaan laut aane ki, koshish na karna

Lahad mein bhi unka, gada huun farishto
Muridaane Ghawsul Wara huun farishto

Mein Ya Ghaws kehhkar, bula lunga dekho
Mujhe tum dara ne ki, koshish na karna

Kahin phoola, phala, yeh gulshan na ujre
Tere haath se unka, daaman na chuute

Zamaane ki fikr se, imaan apna
Kahin dagmaga ne ki, koshish na karna

Mein ehqar huun kya, khush nasibi he paai
Mili Ghaws ke dar ki, mujh ko gaadayi

Chamakta huun mein chaand, ban kar mukhaalif
Yahaan jagmaga ne ki, koshish na karna

Manqabat

Assalaam Eh Ghause A’zam Assalaam
Assalaam Eh Qutbe Aa’lam Assalaam
Assalaam Eh Taajdare Awliya, Assalaam Eh Peshwa e Atqiya
Assalaam Eh Rehnuma e Asfiya, Assalaam Eh Rahbare Raahe Huda

Assalaam Eh Ibne Sultaane Umam, Assalaam Eh Saahebe Jaho Hasham
Assalaam Eh Partave Husne Qadam, Assalaam Eh Noore Khurshide Karam

Waaqai, Mehboobe Subhaani Ho Tum, Fil Haqiqat Qutbe Rabbaani Ho Tum
Aarife Haqq, Sham e Irfaani Ho Tum, Mash’aale Tanvire Yazdaani Ho Tum

Aap Hein Ghawsul Wara, Ghawsul Anaam, Aap Saare Awliya Ke Hein Imaam
Rawnaqe Deene Muhammad, La Kalaam, Aap Se Qaim Hein, Duniya Mein Mudaam

Tum Ho Waliyon Ke Wali, Peeron Ke Peer, Sayyadus Saa’daat Ho, Meeron Ke Meer
Tum Ho Apne Khaadimon Ke Dastagir, Kyun Rahe Mehrum Phir Hum

Manqabat

Rukh Se Parda Abb Apne Hata Do Jalio Per Nigahe Jami Hai
Faslo Ko Khudaya Mita Do Jalio Per Nigahe Jamin Hai.

Gausul Azam Ho Gausul Warah Ho,
Dastagir Aur Mushkilkusha Ho
Kya Bayan Aapka Mertaba Ho
Noor Ho Noor e Salle Ala Ho
Aaj Deedar Apna Kara Do
Jalio Pe Nigahe Jami Hai

Wajda May Aayega Saara Aalam
Jab Pukarenge Ya Gause Azam
Woh Nikal Aayenge Jaliyo Se
Aur Qadmon May Gir Jayenge
Fir Kahenge Ke Bigdi Bana Do
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai

Soon Rahe Hai Woh Fariyad Meri
Khak Hogi Na Barbaad Meri
May Kahin Bhi Maroo Shah e Jilan
Rooh Pohnchegi Bagdad Meri
Muj Ko Parwaz Ke Par Laga Do
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai

Ek Mujrim Siyahkar Hoo May
Har Khata Ka Sazawaar Hoo May
Mere Charo Taraf Hai Andhera
Roshni Ka Talabgar Hoo May
Ek Diya Hi Samajkar Jala Do
Jalio Per Nigahe Jami Hai

Fikr Dekho Khayalat Dekho
Ye Aqeedat Ye Jazbaat Dekho
May Hoo Kya Meri Awkaat Dekho
Saamne Kaisi Hai Zaat Dekho
Aye ADIB Apna Sar Abb Jhooka Do
Jaliyo Per Nigahe Jami Hai.

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More

 
Design by Free WordPress Themes | Bloggerized by Lasantha - Premium Blogger Themes | Grants For Single Moms